Today BISP Payment Increased 13500 May 2025 ki taraf se aik bara faisla liya gaya hai. BISP kafalat program ki payment ab Rs. 13,500 kar di gayi hai. Pehle yeh raqam Rs. 10,500 thi, lekin ab government ne gareeb tabqay ke liye is mein izafa kiya hai.

Payment Barhnay Ka Maqsad
Is izafay ka maqsad mehngai ke bawajood gareeb logon ko zyada madad faraham karna hai. BISP ke mutabiq, May 2025 se sab eligible khawateen ko naye hisaab se paisay milna shuru ho gaye hain.
New BISP Payment 13500 Kis Ko Milegi?
Agar aap already BISP kafalat program mein shamil hain, to aap ko automatically Rs. 13,500 ki payment milegi. Magar agar aap naye applicant hain to pehle aap ko NSER dynamic survey complete karna hoga.
Check Karne Ka Tareeqa – 8171 Web Portal
8171 Web Portal se status check karne ka tareeqa:
- Browser mein 8171.bisp.gov.pk open karein
- 13 hisson wala CNIC number enter karein
- “Maloom Karen” par click karein
- Payment ka status turant nazar aa jaye ga
BISP 8171 SMS Service Kaise Use Karein?
Agar aap ke paas internet access nahi hai, to aap 8171 par SMS karke bhi apni payment ka status maloom kar saktay hain:
- Apna CNIC number likh kar 8171
- Kuch dair mein reply mil jaye ga ke aap eligible hain ya nahi
BISP Payment Collect Karne Ka Tareeqa
Agar aapki payment Rs. 13,500 approve ho gayi hai, to aap yeh paisay neeche diye gaye tareeqon se le saktay hain:
- HBL Konnect Shops
- BISP Camps
- BISP Mobile Vans (kuch ilaqon mein)
Payment lene se pehle CNIC zaroor le kar jayein.
FAQs – BISP Payment Increased 13500 May 2025
Q: Kya naye log bhi Rs. 13,500 hasil kar saktay hain?
A: Ji haan, lekin unhein NSER dynamic survey complete karna hoga.
Q: BISP Payment kab tak milay gi?
A: May 2025 ki payment distribution already shuru ho chuki hai.
Q: Kya 8171 par SMS karna free hai?
A: Jee haan, SMS service bilkul free hai.
Akhri Baat
May 2025 ka yeh izafa gareeb tabqay ke liye khushi ka ba’is hai. Agar aap BISP program mein register hain, to Rs. 13,500 ki payment ka faida uthain. Apna status check karna mat bhooliye aur kisi maslay ki surat mein BISP helpline se rabta karein.
Official BISP Helpline: 0800-26477

I am Sohail Asghar and I will provide you latest updates regarding Benazir income support program like Benazir Kafalat, Benazir Taleemi Wazaif, Benazir Nashunama Program and Dynamic Registry .